Ek Pyar Ka Nagma Lyrics – Sanam (2018)

Ek Pyar Ka Nagma Lyrics – Sanam. This is the new version of old song “Ek Pyar Ka Nagma Hai” from 1972 movie Shor.  Original song was sung by Mukesh and Lata Mangeshkar and composed by Laxmikant Pyarelal.

Ek Pyar Ka Nagma Hai Sanam

Enjoy The Superhit Song ‘Ek Pyar Ka Nagma‘ Video Song and Lyrics

Ek Pyar Ka Nagma Lyrics

Ek Pyar Ka Nagma Hai
Maujon Ki Rawaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi
Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyar Ka Nagma Hai…

Kuchh Paa Kar Khona Hai
Kuchh Kho Kar Pana Hai
Jeevan Ka Matlab To
Aana Aur Jaana Hai…

Do Pal Ke Jeevan Se
Ek Umra Churani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi
Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyar Ka Nagma Hai…

Tu Dhaar Hai Nadiya Ki
Main Tera Kinara Hoon
Tu Mera Sahara Hai
Main Tera Sahara Hoon…

Aakhon Mein Samandar Hai
Aashaon Ka Paani Hai..
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi
Teri Meri Kahaani Hai
Ek Pyar Ka Nagma Hai…

Toofan Ko Aana Hai
Aakar Chale Jaana Hai
Baadal Hai Yeh Kuchh Pal Ka
Chha Kar Dhal Jaana Hai…

Parchhaiyan Reh Jaati
Reh Jaati Nishaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi
Teri Meri Kahaani Hai…

Ek Pyar Ka Nagma Hai
Maujon Ki Rawaani Hai
Zindagi Aur Kuchh Bhi Nahi
Teri Meri Kahaani Hai
Teri Meri Kahaani Hai
Teri Meri Kahaani Hai…

Song : Ek Pyar Ka Nagma
Singer : Sanam
Guitars : Samar Puri
Bass : Venky S
Drums : Keshav Dhanraj

Original song Credits :

Movie : Shor (1972)
Singers : Mukesh and Lata Mangeshkar
Music : Laxmikant Pyarelal
Lyrics : Santosh Anand
Music Label : Saregama

 

Leave a Comment

close